GHAZI KI SHAHAADAT SE, SADATH PE KYA GUZRI Maula ki kamar tuti, zainab ki rida utri Abbas ka maidan mei ghode se utar naa (3) Shabbir se pucho kabhi zainab se khabar lo Are khaimon mei yatimon ke piyaalon ka bikharna Shabbir se pucho kabhi zainab se khabar lo Are Shabbir ko ghazi ki sunani jo sunaai, Bechain huwe dasht mei dhunde kiye bhai (2), Mazlum ki aankhon ka wahaan kaam na karna, Are Sajjad pe zaalim ke tamachon ki woh barish, Maasum sakina pe tamachon ki woh barish (2), Haan shimr ka woh shaame gharibaan mei na darna Are Rone pe koi zulm tadapne pe koi bain, Haathon mei rasan khun mei tar jism khule sar (2) Ye kaafela shabbir ki maqtal se guzarna, Are Tatheer ki parwasta ko galiyoin mei phiraana, Har shehr ke har mod pe hi eid manaana (2) Ujde huwe ko dekh ke logon ka sawarnaa, Are karne pade bimaar ko taamil hazaaron, Be aasra sayyedaaniyan aur neel hazaaron (2) Ab tak bi yatimon ka koi zakhm na bharna, Are zainab pe khuli rehti thi baazaar ki aankhen,Roti hi rahi khun woh bimaar ki aankhen (2) Sajjad ka har roz mei sou baar ka marna, Are maaruf kabhi SHOUKAT-O-FARHAAN na hote, Lafzon pe agar shaah meherbaan na hote (2) Alfaaz mei hota kabhi nauhe ka asar naa, Abbas ka maidan mei ghore se utar naa (3) Shabbir se pucho kabhi zainab se khabar lo ***********************
Maqtal E Hussain Urdu Pdf 72
HUSSAIN IBNE ALI KO PUKAAR TE-JAA WO (2) Khadam khadam pe mukhadar savarthe jawo Hussain O ke jo sipte rasoole athar hai Hussain O ke jo noore nigahe haider hai Hussain O ke jo binte nabi ke dilbar hai O haq ke vaste gardan kata diya O hussain Jo taqto taj ko tokar laga diya O hussain Hukumathoon ko jo nicha dikha diya O hussain Mile hussain tho bande ko haq ki zaath mili Milay hussain to ilsam ko hayath mili Jisay hussain milay usko kayenaath mili Badi khushi se jo akbar ko dediya O hussain Jo apne haatho pe asgar ko dediya O hussain Namaz-e-asr may jo sar ko dediya O hussainSar-e-guroor hukumath jhukadiya O hussain Yezidiyath ko tikane lagadiya O hussain Jahan ko sabre ke jowhar dikha diya O hussain Jo kharq hoke lahu main ubhar gaya O hussain Jo sabr-ro shukr se dil fat-ha kar gaya O hussain Jo dard banke jigar main utar gaya O hussain Jo aaj aal ko chode O kal kare na gila Kidaar-e-fani se milta hain akhibath main sila Hain khush naseeb jo MIRZA ko ahl-e-bait mila Hussain ibne ali ko pukaar te-jaa wo (2) Khadam khadam pe mukhadar savarthe jawo Hussain ibne ali ko pukaar te-jaa wo (2) ***********************
HUSSAIN ZINDABAAD (2) Khuda ye paak ka pyara hussain zindabad. Nabi ki ankhoon ka tara hussain zindabad. Dil-e-batool ka pyara hussain zindabad. Ali ka raaj dulara hussain zindabad Lagaye jao ye nara (hussain zindabad-2) Kaho ye milke hamara (hussain zindabad-2)AMIR-E-SHEHR SHAHADAT HAI TERA NAAM HUSSAIN. Tuji pe behja hai islam ne salaam hussain. Hai tere hato me kounain ka nizaam hussain. Suna jo noke sina par (tera kalaam hussain-2) Pukaar-uta ye nazaara (hussain zin.. 2) KIYA HAI PANI TERE GHAWSALO NE PATHAR KO? Shikast di hai teri pyaas ne samandar ko. Fana ke kabr me dafna kiya sikandar ko. Ulat ke rakhdiya tune (har ek manzar ko-2) Hakikato ko ubharaa (hussain zin.. 2) KAYAAR SHAB PE UJALO NE HUKMARAANI KI. Jale diye to hawo ne paas pani ki. Mili zaif ko ugrayi ya jawaani ki. Zaban hogayi majbur (be zabaani ki-2) Ye tera faiz he saraa (hussain zin.. 2) PAYAAME HAQ HAI KHUDA KI KASAM PAYAME HUSSAIN. Har ek cheez hai kuonain ki gulam hussain. O mohtaram hai jo karta hai ehtaraam hussain Aghar yazid se lena hai (intikaam-e-hussain-2) Laghawo joom ke nara (hussain zin.. 2) JO GHAR LUTAATA HAI USKO HUSSAIN KEHTE HAI. Jo din bachaata hai usko hussain kehte hai. Jo hur banaata hai usko hussain kehte hai. Jo jeet jaata hai (usko hussain kehte hai-2) Shuja-atoonay tone pukaraa (hussain zin.. 2)BARAAYE JUNG YE LAYKAR JO ZULFIKAAR GAYA. Amir-e-shaam ko beta ali ka haar gaya. Kiya ye wakt ne aylaan ikhtidaar gaya. Hussain jit gaye or (yazid hargaya-2) Khuda ka din pukaraa (hussain zindabad-2) ALI KA LAAL SHAHE MASHRAKAYN ZINDAA HAY. Wo khalb-e-fatema zehra ka cheyn zinda hai. Shabaab fata-e-kadro hunain zindaa hai. Yazid margayaa mera (hussain zinda hai-2) Ye zindagi ka hai naraa (hussain zin.. 2) YE TERA DOST BHI TERA ADOO BHI KEHTA HAI. Chiraag andhiyo ke ru-baru bi kehta hai. Alam bi tegh bi chah dil gulu bi kehta hai. Nazar bi fikr bi dil bhi (lahu bhi kehta hai-2) Jo katl hoke na haraa (hussain zin.. 2) WAFA KA SAMT-TERA GOHAR SADA PASAND RAHE. Nishan-e-matame shabbir al jo band rahe. Alam hussain ke lashkar ka sar buland rahe. Yazid kabr ki gayrayiyo (me band rahe-2) Dil-e-hussain hamara (hussain zin.. 2) Lagaye jao ye nara (hussain zindabad-2) Kaho ye milke dobara (hussain zindabad-2) Laghawo joom ke nara (hussain zindabad-2) Lagaye jaan ye nara (hussain zindabad-2)Kaho ye milke dobara (hussain zindabad-5) ***********************
YE MAI HU MAI, MERI TANHAYI. YE TAMAASHAYI. Lo ayi gyaara muharram hai. Kya khabar layi. Chali hai janibe zindan tumhari maa jayi. Sawaar ham ne kiya tha tumhe mere bhaayi. Ab awo ya mujhe kehdo na intizaare karo (2) Utho Hussain bahan ko zara sawaar karo (2) Sawar humne kiya tha, tumhe dame rukhsath Lagaam thaamI thi maine, bahaa labe rikath Kahaa gayi wo muhabath, kahaa gayi chahath Amama apna mere sarpe, saaya baar karo (2) Watan se door hu kuch aur, door jaati hu, Utho utho mere bhaiya, tumhe jagaa thi hu, Koyi bhi aata nahi mai, jise bulaa thi hu,Qaraar do mere mujko na, bekaraar karo (2) Safar Madine se kaisa tha, ye safar kya hai, Na mehmilay hai-na haudaj, na koyi parda hai, Hai sar pay khaak ye karbobala ka sehra hai, Na jee sakungi tere baad, etebar karo x2 Dare furath-pe, ay sown-e-waale jaag zaraa, Alam ke saaye me rukhsat, bahen ko kar bhaiya, Suna hai sakth katin hai, ye sham ka rasta, Behen ye raasta abbas se, naamdaar karo x2 Mein awoongi mere bhaiya, zaroor awoongi, Kafan udawungi markad, tera banawoongi, Jahaa bhi jawoongi farshe, azaa bichaawoongi, Mein khaid kaat ke lout awoo, intezzar karo x2 Ab awo ya mujhe kehdo na intizaare karo (2) Na jee sakungi tere baad, etebar karo x2 Utho hussaine bahan ko zara sawaare karo (2) ***********************
ALAMDAR HAI ALAMDAR (3) Roti hai Zainab (Hai Alamdar), Pyasi hai Zainab (Hai Alamdar) Qaidi Hai Zainab (Hai Alamdar), Jati Hai Zainab (Hai Alamdar) Alamdar Hai Alamdar x3 Shaam chali teri behan be rida, Khafela salar hai Zainul Eba Choud ke maqtal me tujhe be kafan. J ati hu bazar mere ba wafa Khaid huwi dekh nabi zadiyan, Bazu-O-mai bandhi gayi reesma Dekh le Zainab ki zara bekasi, Koi nahi koi nahi paas baa Dard hai tanhaiyi hai faryaad bi, Hashre bapa hai dile nashad bi Lekay chale hai ye sitam-gar mujhe, Alvida ay bhayi teri yaad mai.Yaad teri ayengi har gaam par, Kalb ko tadpayengi har gaam par Tujse juda hoke-ye teri behan, Kehte huwe jayengi har gaam par Dard se lachar behan kya kare, Mere Alamdar Behan kya kare Koi Nahi aaj mera dasht mai, Gham me giraftar behan kya kare Dilpe har-ek zakhmo ko sehte huwe , Sham talak jayengi rote huwe Teri judaai me mere ba wafa, Aaj sare dasht ye kehte huwe Baad tere dasht mai chadar chini, Nawha khuna mujpe huwi bekasi Tere bina kaise bhala jayengi, Shaam ke darbar mai binte Ali Loot padi aisi ke sab lut gaya, Ghar tere jane ke sabab lut gaya Wo jo bhara ghar tha tere samne, Aake zara dekh wo ab lut gaya ***********************
FATHEMA ZEHRA (2) YA ZEHRA (4) Ay meri bibi (2) Tere dar pe isteghasa hai,Tera mamnoo meri shehzaadi ye jahan sara hai Tu hame hifz or amaan de-de, Apni chadar ka sa-ebaan dede, Teri kudrath me kya nahin bibi, Tu jise chahe do jahaan dede Ay meri bibi (2) Aansu-o ne duwa mangi hai, Teri tasbee hi padke dil ne tujhe pukaara hai Tera darbar O sakhi dar hai, Har farishta jahan-ka dagar hai, Tere makrooz asmaan waale Tera makrooz har sikandar hai Ay meri bibi (2) Tu sakhi hai tere bache bhi, Ek raahi nahi gawaahi me jag ye saara hai Farshe majlis pe aur musale pa, Har jawan keh raha hai ro-rokar Ham rahe na rahe magar bibi, Ta qayamat rahe game sarwar Ay meri bibi (2) Tere bacho ka gham mana-te hai, Apni awlaad se kahi badke gham ye pyara hai Karz makrooz ka adaa karde, Muflisoon ka naseeb wa karde, Jinki goudi bhari nahi bibi Unko awlaad tu ataa karde Ay meri bibi (2) Bas tuhi muraad dethi hai, Teri chawkat dare ilahi ka isti-araa haiFarz momin se gham juda karde, Bas ghame karbala ata karde Be khataa kayd me hai jo momin, Moujize se unhe rihaa karde Ay meri bibi (2) Gham koyi hussainiyo ko na de, Jo hussaini hai tere baba ko jaan se pyaara hai Un shahedo ka ye mukadar hai, Sayiban inka teri chadar hai Unke sino pe ay meri bibi daghe matam nishaane haider hai Ay meri bibi (2) khuld me shaheed jab jaye, Teri awaaz aaye aane do ye hamaara hai Majlise gham me ashk barsane, Aasake ya nahi khuda jaane, Kya bharosa hamari sanso ka, Ab kaha ham kaha aza khane Ay meri bibi (2) Ashke gham teri amaanath hai, Teri awlaad ke hi gham-ne hame sawaara hai Tujko umat ne yu sataya hai, Marghe mohsin pe bi rulaya hai Tujko baba ke baad ummat ne, Haye darbaar me bulaya hai Ay meri bibi (2) Kitne sadme utha hai tune, Jeete-ji tujko meri shehzadi gham ne maara hai Ay meri bibi (2) tere darpe sar jukaate hai, Har hussaini ka tere tuk-do pe hi guzaara hai ***********************
ARBAEEN KARNA HAI SHAH-E-KARBALAYI KA Leke daagh seene par, shaah ki judaai ka Haq ada kare Zainab, kaise apne bhaayi ka Khaafila uthar aaya, sabr ki khudaayi ka Karbala ke maidaan par Fathima ki jaayi kaMauth ke bayaabaan may zindagi ka maatam hai Zulm ke andheron may roshni ka maatam hai Aansuon ke toofaan may tishnagi ka maatam hai Ek behan ke his-se may har kisi ka maatam hai Bhaayi kya sunaaun mai hum pe kya sitham guzreBaad-e-asr-e-aashura be-kafan thay sab laashe Shaam-e-gham ke jaatay hi mauth ke badhe saaye Chin gayi rida meri bhaayi jal gaye khaime Dur tak nigaahon may shaam ka andhera hai Karbala say kufa tak haadisoon ne ghayra hai Jabsay nowne-haalon ne, mu ko apne phera hai Maamta ki goudhi may, mauth ka basera hai Baad-e-karbala bhaayi, har qadam qayamat thi Be-rida rasan basta raah-e-shaam say guzri Bhaayi hum tamaasha thay raaste tamaashayi Har qadam dua yeh thi kaash mauth aajaaye Bhaayi qaid khaane ki teeragise ho aaye Aap ki amaanat ko zulmaton may kho aaye Khoon goshwaaron ka aansuon say dho aaye Yun Sakina bibi ko sab aseer ro aaye Qaid say reha ho kar jab Madina jaaungi Jaa ke maa ki turbat par marsiya sunaaungi Karbala ke maqtal may kya huwa bataaungi Bhaayi apnay baazu ke neel bhi dikhaaungi Bhaayi ab khudahafiz khabr say chali Zainab Bin tere guzaa-regi kaisay zindagi Zainab Uth gayi FAREED aakhir keh ke Ya Ali Zainab Ranj-o-gham ki dunya may phir say kho gayi Zainab *********************** 2ff7e9595c
Comments